Zoron ki baarish Makes me wonder
Is this what they call, Taste the thunder? |
mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab mein |
baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thi |
baaG kis kaam kaa jis me.n gulo.n ko shamshaad na ho
lutf detii nahii.n be-shiishaa-o-saaGar mahafil |
khoobsoorat ho tum kisi phool ki tarah...
aankhein hain tumhari kisi hirni ki tarah... |
chahek hai tum mein kisi chidiya ki...
mehek hai tum mein kisi gulaab ki... |
mahafil se uTh jaane vaalo tum logo.n par kyaa ilzaam
tum aabaad gharo.n ke vasii mai.n aavaaraa au badanaam |
Chandani Mohabbat
Chandani Chand se hoti hai, setaron se nehi,
mohabbat ek se hoti hai hazaron se nehi |
chadani chand se hogi to sitaron kya hoga,
mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hoga
|
chadani chand se hogi to sitaron kuch na hoga,
mohabbat hazaron se hogi to AIDS hoga |
Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Ki kal raat ko maine itna kyon khaaya
|
Teri zulfein hain ya ghana andhera
Katwa de baal, aur kar de savera |
Juice peene ka maza cup mein nahin, glass mein hota hai
Greeting card dene ka maza gharwali ko nahin, saali ko hota hai |
Machal Machal kar arman mere khud hi dafan ho jate hai,
Jis dhage ki mai janib hun,Are, Vo dhage hi kafan ho jate hai!!!
|
Mita de apni Husti ko Agar doh Martba Chahe.....
Ke Dana Khak may Milkar Gul-e-gulzar hota hay. |
Agar talaash karoon, koi mil hi jaaey gaa
Magar Tumhaari tarah kaun Mujh ko chaahey gaa
|
Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah |
" Uss" sey Aik baar tou roothoon Mein, Ussi ki tarha
Aur Meri tarha sey " Woh " Mujh ko manaaney Aey
|
Hur lafz kitaabon mein Tera Aks liyey hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta
|
Merey Khuda, Mujhey itna tou Mo'tabar kar dey
Mein jiss ' Makaan ' mein rehta hoon, uss ko ' Ghar' kar dey
|
Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka
|
Paas rehta hai......door rehta hai..
Koi Dil mein..... zaroor rehta hai |
Poocha Kuch iss tarah sey, USS ne Mera Mezaaj
Kehna para ke, " Shukr hai, Parwardigaar ka "
|
Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota |
Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi |
Uss waqt Intezaar ka Aalum na poochiyay
Jab koi baar baar kahey," Aa raha hoon mein " |
Badla wafa ka dein gey bari Saadgi se Hum
Tum "Hum " se rooth jaao gey aur Zindagi se Hum
|
Kaanton se mohabbat kartey hain , Kirdaar tu dekho phoolon ka
Zakhmon se kaleja phut jaaey par saath Nibhaana parta hai
|
Ulfat tou hai aakhir " Unn " ko bhi, Meri na sahi... Dusman ki sahi
Mujh sey na sahi, dusman sey sahi, "woh" bhi tou mohabbat kartey hain
|
Aankhein jhuki jhuki hai, tou Chehray pe Noor hai
Zaalim ki Saadgi mein bhi kitna Ghuroor hai
|
Nigaahein tou buhut milti hain aksar Husn waalon sey
Magar rona tou iss ka hai ke Dil sey Dil nahin milta
|
Seeney se merey Zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh loug jo marney nahin detey |